jo kisi kaam ka nahin hota
aadmi vo bura nahin hota
teer dushman agar chalaata to
teer mujhko laga nahin hota
baat sau feesdi kahunga sach
be-wafa ka bhala nahin hota
yaad usko kiya tabhi main ne
kaam jab doosra nahin hota
ishq vyaapaar hai kabhi jismein
aashiqon ko nafa nahin hota
maan leta use bura main gar
saath us ke raha nahin hota
sach kahoon to gareeb ka koii
is jahaan mein sagā nahin hota
zindagi ek din bataayegi
har bura bas bura nahin hota
shaayari main kabhi nahin karta
yaar gar be-wafa nahin hota
ishq ka ye usool hai saagar
ba-wafa be-wafa nahin hota
जो किसी काम का नहीं होता
आदमी वो बुरा नहीं होता
तीर दुश्मन अगर चलाता तो
तीर मुझको लगा नहीं होता
बात सौ फ़ीसदी कहूँगा सच
बे-वफ़ा का भला नहीं होता
याद उसको किया तभी मैं ने
काम जब दूसरा नहीं होता
इश्क़ व्यापार है कभी जिसमें
आशिक़ों को नफ़ा नहीं होता
मान लेता उसे बुरा मैं गर
साथ उस के रहा नहीं होता
सच कहूँ तो ग़रीब का कोई
इस जहाँ में सगा नहीं होता
ज़िंदगी एक दिन बताएगी
हर बुरा बस बुरा नहीं होता
शाइरी मैं कभी नहीं करता
यार गर बे-वफ़ा नहीं होता
इश्क़ का ये उसूल है 'सागर'
बा-वफ़ा बे-वफ़ा नहीं होता
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari