kuchh waqt hai mera bura kuchh hain sitam sansaar ke | कुछ वक़्त है मेरा बुरा कुछ हैं सितम संसार के

  - Saagar Singh Rajput

kuchh waqt hai mera bura kuchh hain sitam sansaar ke
main jee raha hoon zindagi bas isliye man maar ke

har cheez pa lene ka mujhmein aaj bhi hai dam magar
ik khwaab ke chakkar mein main baitha hoon sab kuchh haar ke

suraj nikal ke dekh mere yaar ko tu ik dafa
tujhse bhi ziyaada tez hai chehre mein mere yaar ke

mujhko nahin maaloom dar kis baat ka hai isliye
ladki mujhe tu maan le apna bina izhaar ke

maana ki daulat cheez hai sabse badi yaaro magar
kuchh log hain duniya mein bhookhe aaj bhi bas pyaar ke

aankhon se apni dekh lo poori tarah veeraan hai
ye haal hota hai qabeele ka bina sardaar ke

ab tootna manzoor hai par lautna mumkin nahin
saagar nahin hai mard vo jo laut jaaye haar ke

कुछ वक़्त है मेरा बुरा कुछ हैं सितम संसार के
मैं जी रहा हूँ ज़िंदगी बस इसलिए मन मार के

हर चीज़ पा लेने का मुझमें आज भी है दम मगर
इक ख़्वाब के चक्कर में मैं बैठा हूँ सब कुछ हार के

सूरज निकल के देख मेरे यार को तू इक दफ़ा
तुझसे भी ज़्यादा तेज है चेहरे में मेरे यार के

मुझको नहीं मालूम डर किस बात का है इसलिए
लड़की मुझे तू मान ले अपना बिना इज़हार के

माना कि दौलत चीज़ है सबसे बड़ी यारो मगर
कुछ लोग हैं दुनिया में भूखे आज भी बस प्यार के

आँखों से अपनी देख लो पूरी तरह वीरान है
ये हाल होता है क़बीले का बिना सरदार के

अब टूटना मंज़ूर है पर लौटना मुमकिन नहीं
'सागर' नहीं है मर्द वो जो लौट जाए हार के

  - Saagar Singh Rajput

More by Saagar Singh Rajput

As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput

Similar Writers

our suggestion based on Saagar Singh Rajput

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari