jo bhi yahan gareeb hai
bhagwaan ke qareeb hai
jo shakhs saath hai tire
kya vo mera raqeeb hai
photoz kheenchta hai jo
kya vo tira habeeb hai
jo ba-wafa nahin raha
insaan bad-naseeb hai
ye baat jaan lo sabhi
vo bas mera naseeb hai
saagar gareeb hai bahut
matlab ki khush-naseeb hai
जो भी यहाँ ग़रीब है
भगवान के क़रीब है
जो शख़्स साथ है तिरे
क्या वो मिरा रक़ीब है
फोटोज़ खींचता है जो
क्या वो तिरा हबीब है
जो बा-वफ़ा नहीं रहा
इन्सान बद-नसीब है
ये बात जान लो सभी
वो बस मिरा नसीब है
'सागर' ग़रीब है बहुत
मतलब कि ख़ुश-नसीब है
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari