main to samjha nahin uske is jor ko
chaahne kyun lagi vo kisi aur ko
jisne cheeni hai mujhse muhabbat meri
kaat kar fenk de waqt us aur ko
vo purane khayaalon kii ladki hai par
devta maanti hai naye daur ko
dekh lo cheen li meri maasoomiyat
kya kahoge meri jaan ke is jor ko
मैं तो समझा नहीं उसके इस जौर को
चाहने क्यूँ लगी वो किसी और को
जिसने छीनी है मुझसे मुहब्बत मिरी
काट कर फेंक दे वक़्त उस और को
वो पुराने ख़यालों की लड़की है पर
देवता मानती है नए दौर को
देख लो छीन ली मेरी मासूमियत
क्या कहोगे मिरी जाँ के इस जौर को
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari