azaab ye bhi kisi aur par nahin aaya
ki ek umr chale aur ghar nahin aaya
us ek khwaab ki hasrat mein jal bujhi aankhen
vo ek khwaab ki ab tak nazar nahin aaya
karein to kis se karein na-rasaiyon ka gila
safar tamaam hua hum-safar nahin aaya
dilon ki baat badan ki zabaan se kah dete
ye chahte the magar dil idhar nahin aaya
ajeeb hi tha mere daur-e-gumrahi ka rafeeq
bichhad gaya to kabhi laut kar nahin aaya
hareem-e-lafz-o-maani se nisbatein bhi raheen
magar saleeqa-e-arz-e-hunar nahin aaya
अज़ाब ये भी किसी और पर नहीं आया
कि एक उम्र चले और घर नहीं आया
उस एक ख़्वाब की हसरत में जल बुझीं आँखें
वो एक ख़्वाब कि अब तक नज़र नहीं आया
करें तो किस से करें ना-रसाइयों का गिला
सफ़र तमाम हुआ हम-सफ़र नहीं आया
दिलों की बात बदन की ज़बाँ से कह देते
ये चाहते थे मगर दिल इधर नहीं आया
अजीब ही था मिरे दौर-ए-गुमरही का रफ़ीक़
बिछड़ गया तो कभी लौट कर नहीं आया
हरीम-ए-लफ़्ज़-ओ-मआनी से निस्बतें भी रहीं
मगर सलीक़ा-ए-अर्ज़-ए-हुनर नहीं आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Baaten Shayari Shayari