hareem-e-lafz mein kis darja be-adab nikla | हरीम-ए-लफ़्ज़ में किस दर्जा बे-अदब निकला

  - Iftikhar Arif

hareem-e-lafz mein kis darja be-adab nikla
jise najeeb samjhte the kam-nasab nikla

sipaah-e-shaam ke neze pe aftaab ka sar
kis ehtimaam se parvar-digaar-e-shab nikla

hamaari garmi-e-guftaar bhi rahi be-sood
kisi ki chup ka bhi matlab ajab ajab nikla

bahm hue bhi magar dil ki vahshatein na gaeein
visaal mein bhi dilon ka ghubaar kab nikla

abhi utha bhi nahin tha kisi ka dast-e-karam
ki saara shehar liye kaasa-e-talab nikla

हरीम-ए-लफ़्ज़ में किस दर्जा बे-अदब निकला
जिसे नजीब समझते थे कम-नसब निकला

सिपाह-ए-शाम के नेज़े पे आफ़्ताब का सर
किस एहतिमाम से परवर-दिगार-ए-शब निकला

हमारी गर्मी-ए-गुफ़्तार भी रही बे-सूद
किसी की चुप का भी मतलब अजब अजब निकला

बहम हुए भी मगर दिल की वहशतें न गईं
विसाल में भी दिलों का ग़ुबार कब निकला

अभी उठा भी नहीं था किसी का दस्त-ए-करम
कि सारा शहर लिए कासा-ए-तलब निकला

  - Iftikhar Arif

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari