kise khabar thi | किसे ख़बर थी

  - Iftikhar Arif

kise khabar thi
ek musaafir mustaqbil zanjeer karega aur safar ke sab aadaab badal jaayenge
kise yaqeen tha
waqt ki rau jis din mutthi mein band ho gai saari aankhen saare khwaab badal jaayenge
hamein khabar thi
hamein yaqeen tha
tabhi to ham ne tod diya tha rishta-e-shohrat-e-aam
tabhi to ham ne chhod diya tha shahr-e-numood-o-naam
lekin ab mere andar ka kamzor aadmi shaam savere mujhe daraane aa jaata hai
naye safar mein kya khoya hai kya paaya hai sab samjhaane aa jaata hai

किसे ख़बर थी
एक मुसाफ़िर मुस्तक़बिल ज़ंजीर करेगा और सफ़र के सब आदाब बदल जाएँगे
किसे यक़ीं था
वक़्त की रौ जिस दिन मुट्ठी में बंद हो गई सारी आँखें सारे ख़्वाब बदल जाएँगे
हमें ख़बर थी
हमें यक़ीं था
तभी तो हम ने तोड़ दिया था रिश्ता-ए-शोहरत-ए-आम
तभी तो हम ने छोड़ दिया था शहर-ए-नुमूद-ओ-नाम
लेकिन अब मिरे अंदर का कमज़ोर आदमी शाम सवेरे मुझे डराने आ जाता है
नए सफ़र में क्या खोया है क्या पाया है सब समझाने आ जाता है

  - Iftikhar Arif

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Arif

As you were reading Shayari by Iftikhar Arif

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Arif

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari