meri zindagi mein bas ik kitaab hai ik charaagh hai
ek khwaab hai aur tum ho
ye kitaab o khwaab ke darmiyaan jo manzilen hain main chahta tha
tumhaare saath basar karoon
yahi kul asaasa-e-zindagi hai isee ko zaad-e-safar karoon
kisi aur samt nazar karoon to meri dua mein asar na ho
mere dil ke jaada-e-khush-khabar pe b-juz tumhaare kabhi kisi ka guzar na ho
magar is tarah ki tumhein bhi us ki khabar na ho
मिरी ज़िंदगी में बस इक किताब है इक चराग़ है
एक ख़्वाब है और तुम हो
ये किताब ओ ख़्वाब के दरमियान जो मंज़िलें हैं मैं चाहता था
तुम्हारे साथ बसर करूँ
यही कुल असासा-ए-ज़िंदगी है इसी को ज़ाद-ए-सफ़र करूँ
किसी और सम्त नज़र करूँ तो मिरी दुआ में असर न हो
मिरे दिल के जादा-ए-ख़ुश-ख़बर पे ब-जुज़ तुम्हारे कभी किसी का गुज़र न हो
मगर इस तरह कि तुम्हें भी उस की ख़बर न हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Dua Shayari Shayari