aasaan nahin hai jaada-e-hairat uboorna
hairaan hue baghair use mat uboorna
mere khilaaf koi bhi bakta rahe magar
seekha hai main ne sarhad-e-tohmat uboorna
sad-aafreen khayal to achha hai waqai
aankhon ko band kar ke mohabbat uboorna
aawaargaan-e-ishq zara ehtiyaat se
lazzat ke ba'ad lazzat-e-shahvat uboorna
ta'meer-e-maah-o-saal mein taakheer ke baghair
kis ko rawa hai arsa-e-mohlat uboorna
juzv-e-badan banega to baahar bhi aayega
ye zakham thodi der se hazrat uboorna
आसाँ नहीं है जादा-ए-हैरत उबूरना
हैराँ हुए बग़ैर उसे मत उबूरना
मेरे ख़िलाफ़ कोई भी बकता रहे मगर
सीखा है मैं ने सरहद-ए-तोहमत उबूरना
सद-आफ़रीं ख़याल तो अच्छा है वाक़ई
आँखों को बंद कर के मोहब्बत उबूरना
आवारगान-ए-इश्क़ ज़रा एहतियात से
लज़्ज़त के बा'द लज़्ज़त-ए-शहवत उबूरना
ता'मीर-ए-माह-ओ-साल में ताख़ीर के बग़ैर
किस को रवा है अर्सा-ए-मोहलत उबूरना
जुज़्व-ए-बदन बनेगा तो बाहर भी आएगा
ये ज़ख़्म थोड़ी देर से हज़रत उबूरना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Falak Kazmi
our suggestion based on Iftikhar Falak Kazmi
As you were reading Love Shayari Shayari