har mushkil aasaan banaane waala tha
main patthar ke paan banaane waala tha
khwaabon ki taawil samajh se baahar thi
jab main pakistan banaane waala tha
haq baahoo haq baahoo kah kar ek faqeer
baahoo ko sultaan banaane waala tha
mujh aisa bahlol kahaan se laaoge
naar se jo naaraan banaane waala tha
shehzaadi ne jis ki khaatir zahar piya
ik dehaati naan banaane waala tha
aap ne mera haath na thaama hota to
main khud ko shaitaan banaane waala tha
darwaazon ki saakh bachaane ki khaatir
deewaron ke kaan banaane waala tha
aap ki ik ik baat ghazal mein dhaal ke main
aan ki aan mein taan banaane waala tha
हर मुश्किल आसान बनाने वाला था
मैं पत्थर के पान बनाने वाला था
ख़्वाबों की तावील समझ से बाहर थी
जब मैं पाकिस्तान बनाने वाला था
हक़ बाहू हक़ बाहू कह कर एक फ़क़ीर
बाहू को सुल्तान बनाने वाला था
मुझ ऐसा बहलोल कहाँ से लाओगे
नार से जो नारान बनाने वाला था
शहज़ादी ने जिस की ख़ातिर ज़हर पिया
इक देहाती नान बनाने वाला था
आप ने मेरा हाथ न थामा होता तो
मैं ख़ुद को शैतान बनाने वाला था
दरवाज़ों की साख बचाने की ख़ातिर
दीवारों के कान बनाने वाला था
आप की इक इक बात ग़ज़ल में ढाल के मैं
आन की आन में तान बनाने वाला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Falak Kazmi
our suggestion based on Iftikhar Falak Kazmi
As you were reading Jahar Shayari Shayari