purane mohalle ka sunsaan aangan
mujhe pa ke tha kitna hairaan aangan
ye tahzeeb ko paanv chalna sikhaayein
samete hain sadiyon ke imkaan aangan
vo deewaar se jhaankti shokh aankhen
vo pahre pe boodha nigahbaan aangan
koi jast mein paar karta hai chaukhat
kisi ke liye ik bayaabaan aangan
kisi ke liye paaya-e-takht hai ye
kisi ke liye ek zindaan aangan
suna rafta rafta khandar ho rahe hain
vo aabaad galiyaan vo gunjaan aangan
kidhar jaayen tahzeeb ki hijraton mein
ye boodhe darakht aur ye veeraan aangan
पुराने मोहल्ले का सुनसान आँगन
मुझे पा के था कितना हैरान आँगन
ये तहज़ीब को पाँव चलना सिखाएँ
समेटे हैं सदियों के इम्कान आँगन
वो दीवार से झाँकती शोख़ आँखें
वो पहरे पे बूढ़ा निगहबान आँगन
कोई जस्त में पार करता है चौखट
किसी के लिए इक बयाबान आँगन
किसी के लिए पाया-ए-तख़्त है ये
किसी के लिए एक ज़िंदान आँगन
सुना रफ़्ता रफ़्ता खंडर हो रहे हैं
वो आबाद गलियाँ वो गुंजान आँगन
किधर जाएँ तहज़ीब की हिजरतों में
ये बूढे दरख़्त और ये वीरान आँगन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ishrat Afreen
our suggestion based on Ishrat Afreen
As you were reading Diversity Shayari Shayari