jab kabhi khwaab ki ummeed bandha karti hai | जब कभी ख़्वाब की उम्मीद बँधा करती है

  - Jamal Ehsani

jab kabhi khwaab ki ummeed bandha karti hai
neend aankhon mein pareshaan fira karti hai

yaad rakhna hi mohabbat mein nahin hai sab kuchh
bhool jaana bhi badi baat hua karti hai

dekh be-chaargi-e-koo-e-mohabbat koi dam
saaye ke vaaste deewaar dua karti hai

soorat-e-dil bade shehron mein rah-e-yak-tarfa
jaane waalon ko bahut yaad kiya karti hai

do ujaalon ko milaati hui ik raah-guzaar
be-charaagi ke bade ranj saha karti hai

जब कभी ख़्वाब की उम्मीद बँधा करती है
नींद आँखों में परेशान फिरा करती है

याद रखना ही मोहब्बत में नहीं है सब कुछ
भूल जाना भी बड़ी बात हुआ करती है

देख बे-चारगी-ए-कू-ए-मोहब्बत कोई दम
साए के वास्ते दीवार दुआ करती है

सूरत-ए-दिल बड़े शहरों में रह-ए-यक-तर्फ़ा
जाने वालों को बहुत याद किया करती है

दो उजालों को मिलाती हुई इक राह-गुज़ार
बे-चरागी के बड़े रंज सहा करती है

  - Jamal Ehsani

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jamal Ehsani

As you were reading Shayari by Jamal Ehsani

Similar Writers

our suggestion based on Jamal Ehsani

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari