vo log mere bahut pyaar karne waale the
guzar gaye hain jo mausam guzarne waale the
nayi rutoon mein dukhon ke bhi silsile hain naye
vo zakham taaza hue hain jo bharne waale the
ye kis maqaam pe soojhi tujhe bichhadne ki
ki ab to ja ke kahi din sanwarne waale the
hazaar mujh se vo paimaan-e-wasl karta raha
par us ke taur-tareeqe mukarne waale the
tumhein to fakhr tha sheeraaza-bandi-e-jaan par
hamaara kya hai ki ham to bikharna waale the
tamaam raat nahaaya tha shehar baarish mein
vo rang utar hi gaye jo utarne waale the
us ek chhote se qasbe pe rail thehri nahin
wahan bhi chand musaafir utarne waale the
वो लोग मेरे बहुत प्यार करने वाले थे
गुज़र गए हैं जो मौसम गुज़रने वाले थे
नई रुतों में दुखों के भी सिलसिले हैं नए
वो ज़ख़्म ताज़ा हुए हैं जो भरने वाले थे
ये किस मक़ाम पे सूझी तुझे बिछड़ने की
कि अब तो जा के कहीं दिन सँवरने वाले थे
हज़ार मुझ से वो पैमान-ए-वस्ल करता रहा
पर उस के तौर-तरीक़े मुकरने वाले थे
तुम्हें तो फ़ख़्र था शीराज़ा-बंदी-ए-जाँ पर
हमारा क्या है कि हम तो बिखरने वाले थे
तमाम रात नहाया था शहर बारिश में
वो रंग उतर ही गए जो उतरने वाले थे
उस एक छोटे से क़स्बे पे रेल ठहरी नहीं
वहाँ भी चंद मुसाफ़िर उतरने वाले थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jamal Ehsani
our suggestion based on Jamal Ehsani
As you were reading Anjam Shayari Shayari