zara si baat pe dil se bigaad aaya hoon | ज़रा सी बात पे दिल से बिगाड़ आया हूँ

  - Jamal Ehsani

zara si baat pe dil se bigaad aaya hoon
bana banaya hua ghar ujaad aaya hoon

vo intiqaam ki aatish thi mere seene mein
mila na koi to khud ko pachaad aaya hoon

main is jahaan ki qismat badlne nikla tha
aur apne haath ka likkha hi faad aaya hoon

ab apne doosre phere ke intizaar mein hoon
jahaan jahaan mere dushman hain taar aaya hoon

main us gali mein gaya aur dil-o-nigaah samet
jamaal jeb mein jo kuchh tha jhaad aaya hoon

ज़रा सी बात पे दिल से बिगाड़ आया हूँ
बना बनाया हुआ घर उजाड़ आया हूँ

वो इंतिक़ाम की आतिश थी मेरे सीने में
मिला न कोई तो ख़ुद को पछाड़ आया हूँ

मैं इस जहान की क़िस्मत बदलने निकला था
और अपने हाथ का लिक्खा ही फाड़ आया हूँ

अब अपने दूसरे फेरे के इंतिज़ार में हूँ
जहाँ जहाँ मिरे दुश्मन हैं ताड़ आया हूँ

मैं उस गली में गया और दिल-ओ-निगाह समेत
'जमाल' जेब में जो कुछ था झाड़ आया हूँ

  - Jamal Ehsani

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jamal Ehsani

As you were reading Shayari by Jamal Ehsani

Similar Writers

our suggestion based on Jamal Ehsani

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari