jamaal ab to yahi rah gaya pata us ka | 'जमाल' अब तो यही रह गया पता उस का

  - Jamal Ehsani

jamaal ab to yahi rah gaya pata us ka
bhali si shakl thi achha sa naam tha us ka

phir ek saaya dar-o-baam par utar aaya
dil-o-nigaah mein phir zikr chhid gaya us ka

kise khabar thi ki ye din bhi dekhna hoga
ab e'tibaar bhi dil ko nahin raha us ka

jo mere zikr par ab qahqahe lagata hai
bichhadte waqt koi haal dekhta us ka

mujhe tabaah kiya aur sab ki nazaron mein
vo be-qusoor raha ye kamaal tha us ka

so kis se kijie zikr-nazaakat-e-khud-o-khaal
koi mila hi nahin soorat-aashna us ka

jo saaya saaya shab-o-roz mere saath raha
gali gali mein pata poochta fira us ka

jamaal us ne to thaani thi umr-bhar ke liye
ye chaar roz mein kya haal ho gaya us ka

'जमाल' अब तो यही रह गया पता उस का
भली सी शक्ल थी अच्छा सा नाम था उस का

फिर एक साया दर-ओ-बाम पर उतर आया
दिल-ओ-निगाह में फिर ज़िक्र छिड़ गया उस का

किसे ख़बर थी कि ये दिन भी देखना होगा
अब ए'तिबार भी दिल को नहीं रहा उस का

जो मेरे ज़िक्र पर अब क़हक़हे लगाता है
बिछड़ते वक़्त कोई हाल देखता उस का

मुझे तबाह किया और सब की नज़रों में
वो बे-क़ुसूर रहा ये कमाल था उस का

सो किस से कीजिए ज़िक्र-नज़ाकत-ए-ख़द-ओ-ख़ाल
कोई मिला ही नहीं सूरत-आश्ना उस का

जो साया साया शब-ओ-रोज़ मेरे साथ रहा
गली गली में पता पूछता फिरा उस का

'जमाल' उस ने तो ठानी थी उम्र-भर के लिए
ये चार रोज़ में क्या हाल हो गया उस का

  - Jamal Ehsani

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jamal Ehsani

As you were reading Shayari by Jamal Ehsani

Similar Writers

our suggestion based on Jamal Ehsani

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari