har ghar ke aas-paas samundar laga mujhe | हर घर के आस-पास समुंदर लगा मुझे - Jameel Malik

har ghar ke aas-paas samundar laga mujhe
kitna muheeb shehar ka manzar laga mujhe

khilqat bahut thi phir bhi koi bolta na tha
sunsaan raaston se bahut dar laga mujhe

qaateel ka haath aaj khuda ke hai roo-b-roo
dast-e-dua bhi khoon ka saaghar laga mujhe

yun reza reza hoon ki koi bhi hua na tha
yun to tiri nigaah ka kankar laga mujhe

baithe-bithaye koocha-e-qaatil mein le gaya
maasoom dil bhi kitna sitamgar laga mujhe

kis kis ne chutkiyon mein udaaya hai mera dil
chahe to tu bhi aakhiri thokar laga mujhe

gulchein palat ke sab tire kooche se aaye hain
phoolon ke raaste mein tira ghar laga mujhe

vo jaagta raha to qayamat bapaa rahi
vo so gaya to aur bhi kaafir laga mujhe

dekha jab aankh bhar ke use doobta gaya
aalam tamaam aalam-e-deegar laga mujhe

us ki khamoshiyon mein nihaan kitna shor tha
mujh se siva vo dard ka khugar laga mujhe

jis aaine mein bhi tira paikar samaa gaya
us aaine mein apna hi jauhar laga mujhe

ya mere dil se hasrat-e-parvaaz cheen le
ya mere paas aa ke naye par laga mujhe

saahil pe jo khada tha tamasha bana hua
vo gehre paaniyon ka shanawar laga mujhe

socha to choor choor the sheeshe ke ghar tamaam
dekha to haath haath mein patthar laga mujhe

aankhon se gard jhaad ke dekha to dosto
kotaah qad bhi apne barabar laga mujhe

tareekiyo mein noor ka haala bhi tha kahi
dasht-e-khayaal apna muqaddar laga mujhe

chhedi kuch is tarah se jameel us ne ye ghazal
har ek sher qand-e-mukarrar laga mujhe

हर घर के आस-पास समुंदर लगा मुझे
कितना मुहीब शहर का मंज़र लगा मुझे

ख़िल्क़त बहुत थी फिर भी कोई बोलता न था
सुनसान रास्तों से बहुत डर लगा मुझे

क़ातिल का हाथ आज ख़ुदा के है रू-ब-रू
दस्त-ए-दुआ' भी ख़ून का साग़र लगा मुझे

यूँ रेज़ा रेज़ा हूँ कि कोई भी हुआ न था
यूँ तो तिरी निगाह का कंकर लगा मुझे

बैठे-बिठाए कूचा-ए-क़ातिल में ले गया
मासूम दिल भी कितना सितमगर लगा मुझे

किस किस ने चुटकियों में उड़ाया है मेरा दिल
चाहे तो तू भी आख़िरी ठोकर लगा मुझे

गुलचीं पलट के सब तिरे कूचे से आए हैं
फूलों के रास्ते में तिरा घर लगा मुझे

वो जागता रहा तो क़यामत बपा रही
वो सो गया तो और भी काफ़र लगा मुझे

देखा जब आँख भर के उसे डूबता गया
आलम तमाम आलम-ए-दीगर लगा मुझे

उस की ख़मोशियों में निहाँ कितना शोर था
मुझ से सिवा वो दर्द का ख़ूगर लगा मुझे

जिस आइने में भी तिरा पैकर समा गया
उस आइने में अपना ही जौहर लगा मुझे

या मेरे दिल से हसरत-ए-परवाज़ छीन ले
या मेरे पास आ के नए पर लगा मुझे

साहिल पे जो खड़ा था तमाशा बना हुआ
वो गहरे पानियों का शनावर लगा मुझे

सोचा तो चूर चूर थे शीशे के घर तमाम
देखा तो हाथ हाथ में पत्थर लगा मुझे

आँखों से गर्द झाड़ के देखा तो दोस्तो
कोताह क़द भी अपने बराबर लगा मुझे

तारीकियों में नूर का हाला भी था कहीं
दश्त-ए-ख़याल अपना मुक़द्दर लगा मुझे

छेड़ी कुछ इस तरह से 'जमील' उस ने ये ग़ज़ल
हर एक शेर क़ंद-ए-मुकर्रर लगा मुझे

- Jameel Malik
3 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jameel Malik

As you were reading Shayari by Jameel Malik

Similar Writers

our suggestion based on Jameel Malik

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari