mahfilein khwaab hui rah gaye tanhaa chehre
waqt ne cheen liye kitne shanaasa chehre
saari duniya ke liye ek tamasha chehre
dil to parde mein rahe ho gaye rusva chehre
tum vo bedard ki mud kar bhi na dekha un ko
warna karte rahe kya kya na taqaza chehre
kitne haathon ne taraashe ye haseen taaj-mahal
jhaankte hain dar-o-deewar se kya kya chehre
soye patton ki tarah jaagti kaliyon ki tarah
khaak mein gum to kabhi khaak se paida chehre
khud hi veeraani-e-dil khud hi charaagh-e-mahfil
kabhi mahroom-e-tamanna kabhi shaida chehre
khaak udti bhi rahi abr barsta bhi raha
ham ne dekhe kabhi sehra kabhi darya-chehre
yahi imroz bhi hangaama-e-farda bhi yahi
pesh karte rahe har daur ka naqsha chehre
deep jalte hi rahe taq pe armaanon ke
kitni sadiyon se hai har ghar ka ujaala chehre
khatm ho jaayen jinhen dekh ke beemaari-e-dil
dhoondh kar laayein kahaan se vo maseeha chehre
dastaan khatm na hogi kabhi chehron ki jameel
husn-e-yoosuf to kabhi ishq-e-zulekha chehre
महफ़िलें ख़्वाब हुईं रह गए तन्हा चेहरे
वक़्त ने छीन लिए कितने शनासा चेहरे
सारी दुनिया के लिए एक तमाशा चेहरे
दिल तो पर्दे में रहे हो गए रुस्वा चेहरे
तुम वो बेदर्द कि मुड़ कर भी न देखा उन को
वर्ना करते रहे क्या क्या न तक़ाज़ा चेहरे
कितने हाथों ने तराशे ये हसीं ताज-महल
झाँकते हैं दर-ओ-दीवार से क्या क्या चेहरे
सोए पत्तों की तरह जागती कलियों की तरह
ख़ाक में गुम तो कभी ख़ाक से पैदा चेहरे
ख़ुद ही वीरानी-ए-दिल ख़ुद ही चराग़-ए-महफ़िल
कभी महरूम-ए-तमन्ना कभी शैदा चेहरे
ख़ाक उड़ती भी रही अब्र बरसता भी रहा
हम ने देखे कभी सहरा कभी दरिया-चेहरे
यही इमरोज़ भी हंगामा-ए-फ़र्दा भी यही
पेश करते रहे हर दौर का नक़्शा चेहरे
दीप जलते ही रहे ताक़ पे अरमानों के
कितनी सदियों से है हर घर का उजाला चेहरे
ख़त्म हो जाएँ जिन्हें देख के बीमारी-ए-दिल
ढूँढ कर लाएँ कहाँ से वो मसीहा चेहरे
दास्ताँ ख़त्म न होगी कभी चेहरों की 'जमील'
हुस्न-ए-यूसुफ़ तो कभी इश्क़-ए-ज़ुलेख़ा चेहरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jameel Malik
our suggestion based on Jameel Malik
As you were reading Anjam Shayari Shayari