main tha zameer-e-mashiyyat mein ek azm-e-jaleel | मैं था ज़मीर-ए-मशिय्यत में एक अज़्म-ए-जलील

  - Jameel Mazhari

main tha zameer-e-mashiyyat mein ek azm-e-jaleel
hanooz shauq ki karvat bhi li na thi main ne
ki dafa'atan mutaharrik hue lab-e-takhleeq
pakad li soorat-e-zaahir vujood ki main ne
vo subh-e-aalam-e-hairat vo jalwa-zaar-e-behisht
hawa chaman ki lagi aankh khol di main ne
vo tarbiyat-gah-e-zauq-e-nazar vo waadi-e-noor
jahaan se paai mohabbat ki raushni main ne
vo unfuwaan-e-tamanna vo ibtidaa-e-junoon
vo ik khalish jise samjha tha zindagi main ne
kiya suroor ne ik aalam-e-digar paida
chura ke pee jo may-e-sarkash-e-khudi main ne
khudi ke nashshe mein allah re be-khudi meri
badan se chaadar-e-ismat bhi fenk di main ne
hua hudood-e-nazar se nikal ke aawaara
hawa-e-shauq mein jannat bhi chhod di main ne
farishte rah gaye hairat se dekhte mujh ko
na ki qubool mashiyyat ki rahbari main ne
daleel-e-raah bani apni garmi-e-parvaaz
ki taqat-e-par-e-jibreel cheen li main ne
badhin sitaaron ki duniyaayein mere lene ko
utar ke arsh se neeche nazar jo ki main ne
magar zameen ki kashish ne soo-e-zameen kheecha
kiya pasand ye zindaan-e-unsuri main ne
jagah mili jo tadapne ki be-qaraari ko
to phir hudoos mein wus'at ki daad di main ne
hua talaatum-e-hasti b-aalam-e-zarraat
chhidak di khaak-e-bayaabaan pe zindagi main ne
numoo ke josh se sauda-e-rang-o-boo nikla
zameen ke dil ki tamannaa nikaal di main ne
hui jahaan-e-amal mein shareeyatein paida
khuda ke naam pe barpa jo ki khudi main ne
kabhi jalai andhere mein sham'a-e-ilm-o-amal
kabhi bujha di hidaayat ki raushni main ne
kabhi bigaad ke rakh deen savaab ki shaklein
kabhi badal di haqeeqat gunaah ki main ne
badha to rah gaya peeche mere zamaana-e-haal
ruka to waqt ki rafta rok di main ne
zameen pe shauq ke fitne bichha diye har soo
fazaa mein neend ki masti bikher di main ne
kabhi jaga di qayamat nafs ki thokar se
utha ke soor-e-saraafeel-e-zindagi main ne
junoon ke josh mein parde nazar ke chaak kiye
naqaab noch ke fitrat ki fenk di main ne
qaba-e-laila-e-tahzeeb chaak kar daali
ridaa-e-maryam-e-ismat utaar li main ne
mizaaj-e-aatish-e-sozaan ko kar diya thanda
macha di bazm-e-anaasir mein khalbali main ne
liya shahenshah-e-khawar se raushni ka khiraaj
kiya aseer tabi'at ko barq ki main ne
b-inkilaab-e-tabiiyat mizaaj-e-aahan ko
hawa ki garmi-e-parvaaz bakhsh di main ne
bulandiyon ka tasavvur bhi rah gaya peeche
pahunch ke itni bulandi pe saans li main ne
thithuk gaeein jo nigaahen qareeb hujlaa-e-quds
pas-e-hijaab-e-adab ye sada sooni main ne
ki ai hareef-e-mashiyyat b-wada-gaah-e-azl
thehar thehar tiri parwaaz dekh li main ne

मैं था ज़मीर-ए-मशिय्यत में एक अज़्म-ए-जलील
हनूज़ शौक़ की करवट भी ली न थी मैं ने
कि दफ़अ'तन मुतहर्रिक हुए लब-ए-तख़्लीक़
पकड़ ली सूरत-ए-ज़ाहिर वजूद की मैं ने
वो सुब्ह-ए-आलम-ए-हैरत वो जल्वा-ज़ार-ए-बहिश्त
हवा चमन की लगी आँख खोल दी मैं ने
वो तर्बियत-गह-ए-ज़ौक़-ए-नज़र, वो वादी-ए-नूर
जहाँ से पाई मोहब्बत की रौशनी मैं ने
वो उन्फ़ुवान-ए-तमन्ना वो इब्तिदा-ए-जुनून
वो इक ख़लिश जिसे समझा था ज़िंदगी मैं ने
किया सुरूर ने इक आलम-ए-दिगर पैदा
चुरा के पी जो मय-ए-सरकश-ए-ख़ुदी मैं ने
ख़ुदी के नश्शे में अल्लाह रे बे-ख़ुदी मेरी
बदन से चादर-ए-इस्मत भी फेंक दी मैं ने
हुआ हुदूद-ए-नज़र से निकल के आवारा
हवा-ए-शौक़ में जन्नत भी छोड़ दी मैं ने
फ़रिश्ते रह गए हैरत से देखते मुझ को
न की क़ुबूल मशिय्यत की रहबरी मैं ने
दलील-ए-राह बनी अपनी गरमी-ए-पर्वाज़
कि ताक़त-ए-पर-ए-जिब्रील छीन ली मैं ने
बढ़ीं सितारों की दुनियाएँ मेरे लेने को
उतर के अर्श से नीचे नज़र जो की मैं ने
मगर ज़मीं की कशिश ने सू-ए-ज़मीं खींचा
किया पसंद ये ज़िंदान-ए-उंसुरी मैं ने
जगह मिली जो तड़पने की बे-क़रारी को
तो फिर हुदूद में वुसअत की दाद दी मैं ने
हुआ तलातुम-ए-हस्ती ब-आलम-ए-ज़र्रात
छिड़क दी ख़ाक-ए-बयाबाँ पे ज़िंदगी मैं ने
नुमू के जोश से सौदा-ए-रंग-ओ-बू निकला
ज़मीं के दिल की तमन्ना निकाल दी मैं ने
हुईं जहान-ए-अमल में शरीअतें पैदा
ख़ुदा के नाम पे बरपा जो की ख़ुदी मैं ने
कभी जलाई अँधेरे में शम्अ-ए-इल्म-ओ-अमल
कभी बुझा दी हिदायत की रौशनी मैं ने
कभी बिगाड़ के रख दीं सवाब की शक्लें
कभी बदल दी हक़ीक़त गुनाह की मैं ने
बढ़ा तो रह गया पीछे मिरे ज़माना-ए-हाल
रुका तो वक़्त की रफ़्ता रोक दी मैं ने
ज़मीं पे शौक़ के फ़ित्ने बिछा दिए हर सू
फ़ज़ा में नींद की मस्ती बिखेर दी मैं ने
कभी जगा दी क़यामत नफ़स की ठोकर से
उठा के सूर-ए-सराफ़ील-ए-ज़िंदगी मैं ने
जुनूँ के जोश में पर्दे नज़र के चाक किए
नक़ाब नोच के फ़ितरत की फेंक दी मैं ने
क़बा-ए-लैला-ए-तहज़ीब चाक कर डाली
रिदा-ए-मर्यम-ए-इस्मत उतार ली मैं ने
मिज़ाज-ए-आतिश-ए-सोज़ाँ को कर दिया ठंडा
मचा दी बज़्म-ए-अनासिर में खलबली मैं ने
लिया शहनशह-ए-ख़ावर से रौशनी का ख़िराज
किया असीर तबीअ'त को बर्क़ की मैं ने
ब-इंक़लाब-ए-तबीअत मिज़ाज-ए-आहन को
हवा की गरमी-ए-पर्वाज़ बख़्श दी मैं ने
बुलंदियों का तसव्वुर भी रह गया पीछे
पहुँच के इतनी बुलंदी पे साँस ली मैं ने
ठिठुक गईं जो निगाहें क़रीब हुजला-ए-क़ुद्स
पस-ए-हिजाब-ए-अदब ये सदा सुनी मैं ने
कि ऐ हरीफ़-ए-मशिय्यत ब-वादा-गाह-ए-अज़ल
ठहर ठहर तिरी पर्वाज़ देख ली मैं ने

  - Jameel Mazhari

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jameel Mazhari

As you were reading Shayari by Jameel Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Jameel Mazhari

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari