ham jee rahe hain koi bahaana kiye baghair
us ke baghair us ki tamannaa kiye baghair
ambaar us ka parda-e-hurmat bana miyaan
deewaar tak nahin giri parda kiye baghair
yaaraan vo jo hai mera maseeha-e-jaan-o-dil
be-had aziz hai mujhe achha kiye baghair
main bistar-e-khayaal pe leta hoon us ke paas
subh-e-azl se koi taqaza kiye baghair
us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar
vo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair
ye zindagi jo hai use maana bhi chahiye
wa'da hamein qubool hai ifa kiye baghair
ai qaatilon ke shehar bas itni hi arz hai
main hoon na qatl koi tamasha kiye baghair
murshid ke jhooth ki to saza be-hisaab hai
tum chhodio na shehar ko sehra kiye baghair
un aangaanon mein kitna sukoon o suroor tha
aaraish-e-nazar tiri parwa kiye baghair
yaaraan khusa ye roz o shab-e-dil ki ab hamein
sab kuchh hai khush-gawaar gawara kiye baghair
giryaa-kunaan ki fard mein apna nahin hai naam
ham giryaa-kun azal ke hain giryaa kiye baghair
aakhir hain kaun log jo bakshe hi jaayenge
taarikh ke haraam se tauba kiye baghair
vo sunni baccha kaun tha jis ki jafaa ne jaun
shiaa bana diya hamein shiaa kiye baghair
ab tum kabhi na aaoge ya'ni kabhi kabhi
ruksat karo mujhe koi wa'da kiye baghair
हम जी रहे हैं कोई बहाना किए बग़ैर
उस के बग़ैर उस की तमन्ना किए बग़ैर
अम्बार उस का पर्दा-ए-हुरमत बना मियाँ
दीवार तक नहीं गिरी पर्दा किए बग़ैर
याराँ वो जो है मेरा मसीहा-ए-जान-ओ-दिल
बे-हद अज़ीज़ है मुझे अच्छा किए बग़ैर
मैं बिस्तर-ए-ख़याल पे लेटा हूँ उस के पास
सुब्ह-ए-अज़ल से कोई तक़ाज़ा किए बग़ैर
उस का है जो भी कुछ है मिरा और मैं मगर
वो मुझ को चाहिए कोई सौदा किए बग़ैर
ये ज़िंदगी जो है उसे मअना भी चाहिए
वा'दा हमें क़ुबूल है ईफ़ा किए बग़ैर
ऐ क़ातिलों के शहर बस इतनी ही अर्ज़ है
मैं हूँ न क़त्ल कोई तमाशा किए बग़ैर
मुर्शिद के झूट की तो सज़ा बे-हिसाब है
तुम छोड़ियो न शहर को सहरा किए बग़ैर
उन आँगनों में कितना सुकून ओ सुरूर था
आराइश-ए-नज़र तिरी पर्वा किए बग़ैर
याराँ ख़ुशा ये रोज़ ओ शब-ए-दिल कि अब हमें
सब कुछ है ख़ुश-गवार गवारा किए बग़ैर
गिर्या-कुनाँ की फ़र्द में अपना नहीं है नाम
हम गिर्या-कुन अज़ल के हैं गिर्या किए बग़ैर
आख़िर हैं कौन लोग जो बख़्शे ही जाएँगे
तारीख़ के हराम से तौबा किए बग़ैर
वो सुन्नी बच्चा कौन था जिस की जफ़ा ने 'जौन'
शीआ' बना दिया हमें शीआ' किए बग़ैर
अब तुम कभी न आओगे या'नी कभी कभी
रुख़्सत करो मुझे कोई वा'दा किए बग़ैर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Anjam Shayari Shayari