theek hai khud ko ham badalte hain
shukriya mashwarat ka chalte hain
ho raha hoon main kis tarah barbaad
dekhne waale haath malte hain
hai vo jaan ab har ek mehfil ki
ham bhi ab ghar se kam nikalte hain
kya takalluf karein ye kehne mein
jo bhi khush hai ham us se jalte hain
hai use door ka safar dar-pesh
ham sambhaale nahin sambhalte hain
tum bano rang tum bano khushboo
ham to apne sukhun mein dhalti hain
main usi tarah to bahalta hoon
aur sab jis tarah bahalte hain
hai ajab faisley ka sehra bhi
chal na padiye to paanv jalte hain
ठीक है ख़ुद को हम बदलते हैं
शुक्रिया मश्वरत का चलते हैं
हो रहा हूँ मैं किस तरह बरबाद
देखने वाले हाथ मलते हैं
है वो जान अब हर एक महफ़िल की
हम भी अब घर से कम निकलते हैं
क्या तकल्लुफ़ करें ये कहने में
जो भी ख़ुश है हम उस से जलते हैं
है उसे दूर का सफ़र दर-पेश
हम सँभाले नहीं सँभलते हैं
तुम बनो रंग तुम बनो ख़ुश्बू
हम तो अपने सुख़न में ढलते हैं
मैं उसी तरह तो बहलता हूँ
और सब जिस तरह बहलते हैं
है अजब फ़ैसले का सहरा भी
चल न पड़िए तो पाँव जलते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Khushboo Shayari Shayari