ghar se ham ghar talak gaye honge
apne hi aap tak gaye honge
ham jo ab aadmi hain pehle kabhi
jaam honge chhalk gaye honge
vo bhi ab ham se thak gaya hoga
ham bhi ab us se thak gaye honge
shab jo ham se hua muaaf karo
nahin pee thi bahak gaye honge
kitne hi log hirs-e-shohrat mein
daar par khud latk gaye honge
shukr hai is nigaah-e-kam ka miyaan
pehle hi ham khatk gaye honge
ham to apni talash mein akshar
az sama-ta-samak gaye honge
us ka lashkar jahaan-tahaan ya'ni
ham bhi bas be-kumak gaye honge
jaun allah aur ye aalam
beech mein ham atak gaye honge
घर से हम घर तलक गए होंगे
अपने ही आप तक गए होंगे
हम जो अब आदमी हैं पहले कभी
जाम होंगे छलक गए होंगे
वो भी अब हम से थक गया होगा
हम भी अब उस से थक गए होंगे
शब जो हम से हुआ मुआफ़ करो
नहीं पी थी बहक गए होंगे
कितने ही लोग हिर्स-ए-शोहरत में
दार पर ख़ुद लटक गए होंगे
शुक्र है इस निगाह-ए-कम का मियां
पहले ही हम खटक गए होंगे
हम तो अपनी तलाश में अक्सर
अज़ समा-ता-समक गए होंगे
उस का लश्कर जहां-तहां या'नी
हम भी बस बे-कुमक गए होंगे
'जौन' अल्लाह और ये आलम
बीच में हम अटक गए होंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Maikashi Shayari Shayari