barf ke shehar ki veeraan guzargaahon par | बर्फ़ के शहर की वीरान गुज़रगाहों पर - Javaid Anwar

barf ke shehar ki veeraan guzargaahon par
mere hi naqsh-e-qadam mere sipaahi hain
mera hausla hain
zindagiyaan
apne gunaahon ki panah-gaahon mein hain
raqs-kunaan
roshaniyaan
band darwaazon ki darzon se tapakti hui
qatra qatra
shab ki dahleez pe girti hain kabhi
koi madhosh si le
jaama may odh ke aati hai guzar jaati hai
raat kuch aur bifar jaati hai
aur badh jaati hain khaamosh khadi deewarein
be-sada sadiyon ke choone se chuni deewarein
jo ki maazi bhi hain mustaqbil bhi
jin ke peeche hai kahi
aatish-e-lamha-e-maujood ki jo
lamha-e-maujood ki hasrat hai
meri nazm ki hairat hai jise
dhoondhta firta hoon main
ghoomta firta hoon main barf bhari raat ki veeraani mein
an-kahi nazm ki tughyaani mein
hain bhanwar kitne guhar kitne hain
kitne alaapen pas-e-parda la
chashm-e-na-beena ke aafaq mein
kitne be-rang kare
kitne dhanak rang khala
kitne sapne hain ki jo
shehar ke tang pulon ke neeche
restauranton ki mahak odh ke so jaate hain
kitni neenden hain ki jo apne shabistaanon mein
welium chaatati hain
jaagti hain

बर्फ़ के शहर की वीरान गुज़रगाहों पर
मेरे ही नक़्श-ए-क़दम मेरे सिपाही हैं
मिरा हौसला हैं
ज़िंदगियाँ
अपने गुनाहों की पनह-गाहों में हैं
रक़्स-कुनाँ
रौशनियाँ
बंद दरवाज़ों की दर्ज़ों से टपकती हुई
क़तरा क़तरा
शब की दहलीज़ पे गिरती हैं कभी
कोई मदहोश सी ले
जामा मय ओढ़ के आती है गुज़र जाती है
रात कुछ और बिफर जाती है
और बढ़ जाती हैं ख़ामोश खड़ी दीवारें
बे-सदा सदियों के चूने से चुनी दीवारें
जो कि माज़ी भी हैं मुस्तक़बिल भी
जिन के पीछे है कहीं
आतिश-ए-लम्हा-ए-मौजूद कि जो
लम्हा-ए-मौजूद की हसरत है
मिरी नज़्म की हैरत है जिसे
ढूँढता फिरता हूँ मैं
घूमता फिरता हूँ मैं बर्फ़ भरी रात की वीरानी में
अन-कही नज़्म की तुग़्यानी में
हैं भँवर कितने गुहर कितने हैं
कितने अलापें पस-ए-पर्दा ला
चश्म-ए-ना-बीना के आफ़ाक़ में
कितने बे-रंग करे
कितने धनक रंग ख़ला
कितने सपने हैं कि जो
शहर के तंग पुलों के नीचे
रेस्तुरानों की महक ओढ़ के सो जाते हैं
कितनी नींदें हैं कि जो अपने शबिस्तानों में
वेलियम चाटती हैं
जागती हैं

- Javaid Anwar
0 Likes

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javaid Anwar

As you were reading Shayari by Javaid Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Javaid Anwar

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari