vo khaamosh thi | वो ख़ामोश थी - Javaid Anwar

vo khaamosh thi
apne dozakh mein jaltee hui
neel-goon paaniyon ke shikanje mein jakadi hui
ik machalti hui mauj-e-mahtaab ki samt lapki
magar
ret par aa giri seep ugalati hui
khaamoshi ke bhanwar se nikalti hui
vo hasi aur hasi
braziar mein se baahar fislati hui
ab vo ladki nahin sirf angadaai thi
ik tawaanai thi
neem-wa aankh mein kamsaati hui
haath malti hui
ik samundar tha bifara hua
ik shab thi na dhalti hui

वो ख़ामोश थी
अपने दोज़ख़ में जलती हुई
नील-गूँ पानियों के शिकंजे में जकड़ी हुई
इक मचलती हुई मौज-ए-महताब की सम्त लपकी
मगर
रेत पर आ गिरी सीप उगलती हुई
ख़ामुशी के भँवर से निकलती हुई
वो हँसी और हँसी
ब्रज़िअर में से बाहर फिसलती हुई
अब वो लड़की नहीं सिर्फ़ अंगड़ाई थी
इक तवानाई थी
नीम-वा आँख में कसमसाती हुई
हाथ मलती हुई
इक समुंदर था बिफरा हुआ
इक शब थी न ढलती हुई

- Javaid Anwar
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javaid Anwar

As you were reading Shayari by Javaid Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Javaid Anwar

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari