jeena mushkil hai ki aasaan zara dekh to lo | जीना मुश्किल है कि आसान ज़रा देख तो लो - Javed Akhtar

jeena mushkil hai ki aasaan zara dekh to lo
log lagte hain pareshaan zara dekh to lo

phir muqarrir koi sargarm sar-e-minbar hai
kis ke hai qatl ka samaan zara dekh to lo

ye naya shehar to hai khoob basaaya tum ne
kyun puraana hua veeraan zara dekh to lo

in charaagon ke tale aise andhere kyun hai
tum bhi rah jaaoge hairaan zara dekh to lo

tum ye kahte ho ki main gair hoon phir bhi shaayad
nikal aaye koi pehchaan zara dekh to lo

ye sataish ki tamannaa ye sile ki parwaah
kahaan laaye hain ye armaan zara dekh to lo

जीना मुश्किल है कि आसान ज़रा देख तो लो
लोग लगते हैं परेशान ज़रा देख तो लो

फिर मुक़र्रिर कोई सरगर्म सर-ए-मिंबर है
किस के है क़त्ल का सामान ज़रा देख तो लो

ये नया शहर तो है ख़ूब बसाया तुम ने
क्यूँ पुराना हुआ वीरान ज़रा देख तो लो

इन चराग़ों के तले ऐसे अँधेरे क्यूँ है
तुम भी रह जाओगे हैरान ज़रा देख तो लो

तुम ये कहते हो कि मैं ग़ैर हूँ फिर भी शायद
निकल आए कोई पहचान ज़रा देख तो लो

ये सताइश की तमन्ना ये सिले की परवाह
कहाँ लाए हैं ये अरमान ज़रा देख तो लो

- Javed Akhtar
26 Likes

Murder Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Murder Shayari Shayari