kin lafzon mein itni kadvi itni kaseeli baat likhoon | किन लफ़्ज़ों में इतनी कड़वी इतनी कसीली बात लिखूँ

  - Javed Akhtar

kin lafzon mein itni kadvi itni kaseeli baat likhoon
she'r ki main tahzeeb bana hoon ya apne haalaat likhoon

gham nahin likkhoon kya main gham ko jashn likhoon kya maatam ko
jo dekhe hain main ne janaaze kya un ko baaraat likhoon

kaise likhoon main chaand ke qisse kaise likhoon main phool ki baat
ret udaaye garm hawa to kaise main barsaat likhoon

kis kis ki aankhon mein dekhe main ne zahar bujhe khanjar
khud se bhi jo main ne chhupaaye kaise vo sadmaat likhoon

takht ki khwaahish loot ki laalach kamzoron par zulm ka shauq
lekin un ka farmaana hai main in ko jazbaat likhoon

qaateel bhi maqtool bhi dono naam khuda ka lete the
koi khuda hai to vo kahaan tha meri kya auqaat likhoon

apni apni taarikee ko log ujaala kahte hain
taarikee ke naam likhoon to qaumen firqe zaat likhoon

jaane ye kaisa daur hai jis mein jurat bhi to mushkil hai
din ho agar to us ko likhoon din raat agar ho raat likhoon

किन लफ़्ज़ों में इतनी कड़वी इतनी कसीली बात लिखूँ
शे'र की मैं तहज़ीब बना हूँ या अपने हालात लिखूँ

ग़म नहीं लिक्खूँ क्या मैं ग़म को जश्न लिखूँ क्या मातम को
जो देखे हैं मैं ने जनाज़े क्या उन को बारात लिखूँ

कैसे लिखूँ मैं चाँद के क़िस्से कैसे लिखूँ मैं फूल की बात
रेत उड़ाए गर्म हवा तो कैसे मैं बरसात लिखूँ

किस किस की आँखों में देखे मैं ने ज़हर बुझे ख़ंजर
ख़ुद से भी जो मैं ने छुपाए कैसे वो सदमात लिखूँ

तख़्त की ख़्वाहिश लूट की लालच कमज़ोरों पर ज़ुल्म का शौक़
लेकिन उन का फ़रमाना है मैं इन को जज़्बात लिखूँ

क़ातिल भी मक़्तूल भी दोनों नाम ख़ुदा का लेते थे
कोई ख़ुदा है तो वो कहाँ था मेरी क्या औक़ात लिखूँ

अपनी अपनी तारीकी को लोग उजाला कहते हैं
तारीकी के नाम लिखूँ तो क़ौमें फ़िरक़े ज़ात लिखूँ

जाने ये कैसा दौर है जिस में जुरअत भी तो मुश्किल है
दिन हो अगर तो उस को लिखूँ दिन रात अगर हो रात लिखूँ

  - Javed Akhtar

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari