ham ne dhundhe bhi to dhundhe hain sahaare kaise | हम ने ढूँढ़े भी तो ढूँढ़े हैं सहारे कैसे

  - Javed Akhtar

ham ne dhundhe bhi to dhundhe hain sahaare kaise
in saraabo pe koi umr guzaare kaise

haath ko haath nahin sujhe vo taarikee thi
aa gaye haath mein kya jaane sitaare kaise

har taraf shor usi naam ka hai duniya mein
koi us ko jo pukaare to pukaare kaise

dil bujha jitne the armaan sabhi khaak hue
raakh mein phir ye chamakte hain sharaare kaise

na to dam leti hai tu aur na hawa thamti hai
zindagi zulf tiri koi sanwaare kaise

हम ने ढूँढ़े भी तो ढूँढ़े हैं सहारे कैसे
इन सराबों पे कोई उम्र गुज़ारे कैसे

हाथ को हाथ नहीं सूझे वो तारीकी थी
आ गए हाथ में क्या जाने सितारे कैसे

हर तरफ़ शोर उसी नाम का है दुनिया में
कोई उस को जो पुकारे तो पुकारे कैसे

दिल बुझा जितने थे अरमान सभी ख़ाक हुए
राख में फिर ये चमकते हैं शरारे कैसे

न तो दम लेती है तू और न हवा थमती है
ज़िंदगी ज़ुल्फ़ तिरी कोई सँवारे कैसे

  - Javed Akhtar

Aahat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aahat Shayari Shayari