jo baat kahte darte hain sab tu woh baat likh
itni andheri thi na kabhi pehle raat likh
jinse qaside likhe the woh fenk de qalam
phir khoon-e-dil se sacche qalam ki sifaat likh
jo roznaamon mein kahi paati nahin jagah
jo roz har jagah ki hai woh waardaat likh
jitne bhi tang daayre hain saare tod de
ab aa khuli fizaon mein ab kaaynaat likh
jo waqiaat ho gaye unka to zikr hai
lekin jo hone chahiye woh waqiaat likh
is baagh mein jo dekhni hai tujh ko phir bahaar
tu daal-daal se sada tu paat-paat likh
जो बात कहते डरते हैं सब तू वो बात लिख
इतनी अँधेरी थी न कभी पहले रात लिख
जिनसे क़सीदे लिखे थे वो फेंक दे क़लम
फिर ख़ून-ए-दिल से सच्चे क़लम की सिफ़ात लिख
जो रोज़नामों में कहीं पाती नहीं जगह
जो रोज़ हर जगह की है वो वारदात लिख
जितने भी तंग दाएरे हैं सारे तोड़ दे
अब आ खुली फ़िज़ाओं में अब काएनात लिख
जो वाक़ियात हो गए उनका तो ज़िक्र है
लेकिन जो होने चाहिए वो वाक़ियात लिख
इस बाग़ में जो देखनी है तुझको फिर बहार
तू डाल-डाल से सदा तू पात-पात लिख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Andhera Shayari Shayari