yahi haalaat ibtida se rahe
log ham se khafa khafa se rahe
in charaagon mein tel hi kam tha
kyun gila ham ko phir hawa se rahe
bahs shatranj she'r mauseeqi
tum nahin the to ye dilaase rahe
zindagi ki sharaab maangte ho
ham ko dekho ki pee ke pyaase rahe
us ke bandon ko dekh kar kahiye
ham ko ummeed kya khuda se rahe
यही हालात इब्तिदा से रहे
लोग हम से ख़फ़ा ख़फ़ा से रहे
इन चराग़ों में तेल ही कम था
क्यूँ गिला हम को फिर हवा से रहे
बहस शतरंज शे'र मौसीक़ी
तुम नहीं थे तो ये दिलासे रहे
ज़िंदगी की शराब माँगते हो
हम को देखो कि पी के प्यासे रहे
उस के बंदों को देख कर कहिए
हम को उम्मीद क्या ख़ुदा से रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Khushboo Shayari Shayari