khula hai dar p tira intizaar jaata raha | खुला है दर प तिरा इंतिज़ार जाता रहा

  - Javed Akhtar

khula hai dar p tira intizaar jaata raha
khuloos to hai magar etibaar jaata raha

kisi ki aankh mein masti to aaj bhi hai wahi
magar kabhi jo hamein tha khumaar jaata raha

kabhi jo seene mein ik aag thi vo sard hui
kabhi nigaah mein jo tha sharaar jaata raha

ajab sa chain tha ham ko ki jab the ham bechain
qaraar aaya to jaise qaraar jaata raha

kabhi to meri bhi sunwaai hogi mehfil mein
main ye umeed liye baar baar jaata raha

खुला है दर प तिरा इंतिज़ार जाता रहा
ख़ुलूस तो है मगर एतिबार जाता रहा

किसी की आँख में मस्ती तो आज भी है वही
मगर कभी जो हमें था ख़ुमार जाता रहा

कभी जो सीने में इक आग थी वो सर्द हुई
कभी निगाह में जो था शरार जाता रहा

अजब सा चैन था हम को कि जब थे हम बेचैन
क़रार आया तो जैसे क़रार जाता रहा

कभी तो मेरी भी सुनवाई होगी महफ़िल में
मैं ये उमीद लिए बार बार जाता रहा

  - Javed Akhtar

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari