vo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai
zameen suraj ki ungliyon se fisal rahi hai
jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-khabar hain
ki meri zanjeer dheere dheere pighal rahi hai
main qatl to ho gaya tumhaari gali mein lekin
mere lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai
na jalne paate the jis ke choolhe bhi har savere
suna hai kal raat se vo basti bhi jal rahi hai
main jaanta hoon ki khaamoshi mein hi maslahat hai
magar yahi maslahat mere dil ko khal rahi hai
kabhi to insaan zindagi ki karega izzat
ye ek ummeed aaj bhi dil mein pal rahi hai
वो ढल रहा है तो ये भी रंगत बदल रही है
ज़मीन सूरज की उँगलियों से फिसल रही है
जो मुझ को ज़िंदा जला रहे हैं वो बे-ख़बर हैं
कि मेरी ज़ंजीर धीरे धीरे पिघल रही है
मैं क़त्ल तो हो गया तुम्हारी गली में लेकिन
मिरे लहू से तुम्हारी दीवार गल रही है
न जलने पाते थे जिस के चूल्हे भी हर सवेरे
सुना है कल रात से वो बस्ती भी जल रही है
मैं जानता हूँ कि ख़ामुशी में ही मस्लहत है
मगर यही मस्लहत मिरे दिल को खल रही है
कभी तो इंसान ज़िंदगी की करेगा इज़्ज़त
ये एक उम्मीद आज भी दिल में पल रही है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Haya Shayari Shayari