dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zakham kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jaate hain
raasta roke khadi hai yahi uljhan kab se
koi pooche to kahein kya ki kidhar jaate hain
chat ki kadiyon se utarte hain mere khwaab magar
meri deewaron se takra ke bikhar jaate hain
narm alfaaz bhali baatein mohazzab lehje
pehli baarish hi mein ye rang utar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi
sar jhukaaye hue chup-chaap guzar jaate hain
दर्द के फूल भी खिलते हैं बिखर जाते हैं
ज़ख़्म कैसे भी हों कुछ रोज़ में भर जाते हैं
रास्ता रोके खड़ी है यही उलझन कब से
कोई पूछे तो कहें क्या कि किधर जाते हैं
छत की कड़ियों से उतरते हैं मिरे ख़्वाब मगर
मेरी दीवारों से टकरा के बिखर जाते हैं
नर्म अल्फ़ाज़ भली बातें मोहज़्ज़ब लहजे
पहली बारिश ही में ये रंग उतर जाते हैं
उस दरीचे में भी अब कोई नहीं और हम भी
सर झुकाए हुए चुप-चाप गुज़र जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Raasta Shayari Shayari