firte hain kab se dar-b-dar ab is nagar ab us nagar ik doosre ke hum-safar main aur meri aawaargi | फिरते हैं कब से दर-ब-दर अब इस नगर अब उस नगर इक दूसरे के हम-सफ़र मैं और मिरी आवारगी - Javed Akhtar

firte hain kab se dar-b-dar ab is nagar ab us nagar ik doosre ke hum-safar main aur meri aawaargi
na-aashnaa har rah-guzar na-mehrabaan har ik nazar jaayen to ab jaayen kidhar main aur meri aawaargi

hum bhi kabhi aabaad the aise kahaan barbaad the be-fikr the azaad the masroor the dil-shaad the
vo chaal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur meri aawaargi

jeena bahut aasaan tha ik shakhs ka ehsaan tha hum ko bhi ik armaan tha jo khwaab ka samaan tha
ab khwaab hai nay aarzoo armaan hai nay justuju yun bhi chalo khush hain magar main aur meri aawaargi

vo maah-vash vo maah-roo vo mah-kaam-e-hoo-b-hoo theen jis ki baatein koo-b-koo us se ajab thi guftugoo
phir yun hua vo kho gai to mujh ko zid si ho gai laayenge us ko dhundh kar main aur meri aawaargi

ye dil hi tha jo sah gaya vo baat aisi kah gaya kehne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya
jab kah ke vo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur meri aawaargi

ab gham uthaaye kis liye aansu bahaayein kis liye ye dil jalaaen kis liye yun jaan ganwaayein kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam honge kahi to kaargar main aur meri aawaargi

aasaar hain sab khot ke imkaan hain sab chot ke ghar band hain sab got ke ab khatm hain sab totke
qismat ka sab ye fer hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur meri aawaargi

jab hamdam-o-hamraaz tha tab aur hi andaaz tha ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya hai saath vo to vo bhi kya ik be-hunar ik be-samar main aur meri aawaargi

फिरते हैं कब से दर-ब-दर अब इस नगर अब उस नगर इक दूसरे के हम-सफ़र मैं और मिरी आवारगी
ना-आश्ना हर रह-गुज़र ना-मेहरबाँ हर इक नज़र जाएँ तो अब जाएँ किधर मैं और मिरी आवारगी

हम भी कभी आबाद थे ऐसे कहाँ बर्बाद थे बे-फ़िक्र थे आज़ाद थे मसरूर थे दिल-शाद थे
वो चाल ऐसी चल गया हम बुझ गए दिल जल गया निकले जला के अपना घर मैं और मिरी आवारगी

जीना बहुत आसान था इक शख़्स का एहसान था हम को भी इक अरमान था जो ख़्वाब का सामान था
अब ख़्वाब है नय आरज़ू अरमान है नय जुस्तुजू यूँ भी चलो ख़ुश हैं मगर मैं और मिरी आवारगी

वो माह-वश वो माह-रू वो माह-काम-ए-हू-ब-हू थीं जिस की बातें कू-ब-कू उस से अजब थी गुफ़्तुगू
फिर यूँ हुआ वो खो गई तो मुझ को ज़िद सी हो गई लाएँगे उस को ढूँड कर मैं और मिरी आवारगी

ये दिल ही था जो सह गया वो बात ऐसी कह गया कहने को फिर क्या रह गया अश्कों का दरिया बह गया
जब कह के वो दिलबर गया तेरे लिए मैं मर गया रोते हैं उस को रात भर मैं और मिरी आवारगी

अब ग़म उठाएँ किस लिए आँसू बहाएँ किस लिए ये दिल जलाएँ किस लिए यूँ जाँ गंवाएँ किस लिए
पेशा न हो जिस का सितम ढूँडेंगे अब ऐसा सनम होंगे कहीं तो कारगर मैं और मिरी आवारगी

आसार हैं सब खोट के इम्कान हैं सब चोट के घर बंद हैं सब गोट के अब ख़त्म हैं सब टोटके
क़िस्मत का सब ये फेर है अंधेर है अंधेर है ऐसे हुए हैं बे-असर मैं और मिरी आवारगी

जब हमदम-ओ-हमराज़ था तब और ही अंदाज़ था अब सोज़ है तब साज़ था अब शर्म है तब नाज़ था
अब मुझ से हो तो हो भी क्या है साथ वो तो वो भी क्या इक बे-हुनर इक बे-समर मैं और मिरी आवारगी

- Javed Akhtar
2 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari