shukr hai khairiyat se hoon sahab | शुक्र है ख़ैरियत से हूँ साहब - Javed Akhtar

shukr hai khairiyat se hoon sahab
aap se aur kya kahoon sahab

ab samajhne laga hoon sood-o-ziyaan
ab kahaan mujh mein vo junoon sahab

zillat-e-zeest ya shikast-e-zameer
ye sahoon main ki vo sahoon sahab

hum tumhein yaad karte ro lete
do-ghadi milta jo sukoon sahab

shaam bhi dhal rahi hai ghar bhi hai door
kitni der aur main rookoon sahab

ab jhukoon to toot jaaunga
kaise ab aur main jhukoon sahab

kuch rivaayat ki gawaahi par
kitna jurmaana main bharoon sahab

शुक्र है ख़ैरियत से हूँ साहब
आप से और क्या कहूँ साहब

अब समझने लगा हूँ सूद-ओ-ज़ियाँ
अब कहाँ मुझ में वो जुनूँ साहब

ज़िल्लत-ए-ज़ीस्त या शिकस्त-ए-ज़मीर
ये सहूँ मैं कि वो सहूँ साहब

हम तुम्हें याद करते रो लेते
दो-घड़ी मिलता जो सुकूँ साहब

शाम भी ढल रही है घर भी है दूर
कितनी देर और मैं रुकूँ साहब

अब झुकूँगा तो टूट जाऊँगा
कैसे अब और मैं झुकूँ साहब

कुछ रिवायात की गवाही पर
कितना जुर्माना मैं भरूँ साहब

- Javed Akhtar
1 Like

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari