dast-bardaar agar aap gazab se ho jaayen | दस्त-बरदार अगर आप ग़ज़ब से हो जाएँ

  - Javed Akhtar

dast-bardaar agar aap gazab se ho jaayen
har sitam bhool ke ham aap ke ab se ho jaayen

chaudahveen shab hai to khidki ke gira do parde
kaun jaane ki vo naaraz hi shab se ho jaayen

ek khushboo ki tarah failte hain mehfil mein
aise alfaaz ada jo tire lab se ho jaayen

na koi ishq hai baaki na koi parcham hai
log deewane bhala kis ke sabab se ho jaayen

baandh lo haath ki failein na kisi ke aage
si lo ye lab ki kahi vo na talab se ho jaayen

baat to chhed mere dil koi qissa to suna
kya ajab un ke bhi jazbaat ajab se ho jaayen

दस्त-बरदार अगर आप ग़ज़ब से हो जाएँ
हर सितम भूल के हम आप के अब से हो जाएँ

चौदहवीं शब है तो खिड़की के गिरा दो पर्दे
कौन जाने कि वो नाराज़ ही शब से हो जाएँ

एक ख़ुश्बू की तरह फैलते हैं महफ़िल में
ऐसे अल्फ़ाज़ अदा जो तिरे लब से हो जाएँ

न कोई इश्क़ है बाक़ी न कोई परचम है
लोग दीवाने भला किस के सबब से हो जाएँ

बाँध लो हाथ कि फैलें न किसी के आगे
सी लो ये लब कि कहीं वो न तलब से हो जाएँ

बात तो छेड़ मिरे दिल कोई क़िस्सा तो सुना
क्या अजब उन के भी जज़्बात अजब से हो जाएँ

  - Javed Akhtar

Mehfil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Mehfil Shayari Shayari