kabhi kabhi main ye sochta hoon ki mujh ko teri talash kyun hai | कभी कभी मैं ये सोचता हूँ कि मुझ को तेरी तलाश क्यूँ है

  - Javed Akhtar

kabhi kabhi main ye sochta hoon ki mujh ko teri talash kyun hai
ki jab hain saare hi taar toote to saaz mein irtiaash kyun hai

koi agar poochta ye ham se bataate ham gar to kya bataate
bhala ho sab ka ki ye na poocha ki dil pe aisi kharaash kyun hai

utha ke haathon se tum ne chhodaa chalo na daanista tum ne toda
ab ulta ham se to ye na poocho ki sheesha ye paash paash kyun hai

ajab do-raahe pe zindagi hai kabhi havas dil ko kheenchti hai
kabhi ye sharmindagi hai dil mein ki itni fikr-e-ma'aash kyun hai

na fikr koi na justuju hai na khwaab koi na aarzoo hai
ye shakhs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye laash kyun hai

कभी कभी मैं ये सोचता हूँ कि मुझ को तेरी तलाश क्यूँ है
कि जब हैं सारे ही तार टूटे तो साज़ में इर्तिआश क्यूँ है

कोई अगर पूछता ये हम से बताते हम गर तो क्या बताते
भला हो सब का कि ये न पूछा कि दिल पे ऐसी ख़राश क्यूँ है

उठा के हाथों से तुम ने छोड़ा चलो न दानिस्ता तुम ने तोड़ा
अब उल्टा हम से तो ये न पूछो कि शीशा ये पाश पाश क्यूँ है

अजब दो-राहे पे ज़िंदगी है कभी हवस दिल को खींचती है
कभी ये शर्मिंदगी है दिल में कि इतनी फ़िक्र-ए-मआ'श क्यूँ है

न फ़िक्र कोई न जुस्तुजू है न ख़्वाब कोई न आरज़ू है
ये शख़्स तो कब का मर चुका है तो बे-कफ़न फिर ये लाश क्यूँ है

  - Javed Akhtar

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari