jidhar jaate hain sab jaana udhar achha nahin lagta | जिधर जाते हैं सब जाना उधर अच्छा नहीं लगता - Javed Akhtar

jidhar jaate hain sab jaana udhar achha nahin lagta
mujhe paamaal raston ka safar achha nahin lagta

galat baaton ko khaamoshi se sunna haami bhar lena
bahut hain faaede is mein magar achha nahin lagta

mujhe dushman se bhi khuddaari ki ummeed rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achha nahin lagta

bulandi par unhen mitti ki khushboo tak nahin aati
ye vo shaakhen hain jin ko ab shajar achha nahin lagta

ye kyun baaki rahe aatish-zano ye bhi jala daalo
ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achha nahin lagta

जिधर जाते हैं सब जाना उधर अच्छा नहीं लगता
मुझे पामाल रस्तों का सफ़र अच्छा नहीं लगता

ग़लत बातों को ख़ामोशी से सुनना हामी भर लेना
बहुत हैं फ़ाएदे इस में मगर अच्छा नहीं लगता

मुझे दुश्मन से भी ख़ुद्दारी की उम्मीद रहती है
किसी का भी हो सर क़दमों में सर अच्छा नहीं लगता

बुलंदी पर उन्हें मिट्टी की ख़ुश्बू तक नहीं आती
ये वो शाख़ें हैं जिन को अब शजर अच्छा नहीं लगता

ये क्यूँ बाक़ी रहे आतिश-ज़नो ये भी जला डालो
कि सब बे-घर हों और मेरा हो घर अच्छा नहीं लगता

- Javed Akhtar
17 Likes

Dushman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Dushman Shayari Shayari