sookhi tahni tanhaa chidiya feeka chaand
aankhon ke sehra mein ek nami ka chaand
us maathe ko choome kitne din beete
jis maathe ki khaatir tha ik teeka chaand
pehle tu lagti thi kitni begaana
kitna mubham hota hai pehli ka chaand
kam ho kaise in khushiyon se tera gham
lehron mein kab bahta hai naddi ka chaand
aao ab ham is ke bhi tukde kar le
dhaaka rawalpindi aur dilli ka chaand
सूखी टहनी तन्हा चिड़िया फीका चाँद
आँखों के सहरा में एक नमी का चाँद
उस माथे को चूमे कितने दिन बीते
जिस माथे की ख़ातिर था इक टीका चाँद
पहले तू लगती थी कितनी बेगाना
कितना मुबहम होता है पहली का चाँद
कम हो कैसे इन ख़ुशियों से तेरा ग़म
लहरों में कब बहता है नद्दी का चाँद
आओ अब हम इस के भी टुकड़े कर ले
ढाका रावलपिंडी और दिल्ली का चाँद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Parinda Shayari Shayari