pyaas ki kaise laaye taab koi
nahin dariya to ho saraab koi
zakhm-e-dil mein jahaan mahakta hai
isee kyaari mein tha gulaab koi
raat bajti thi door shehnai
roya pee kar bahut sharaab koi
dil ko ghere hain rozgaar ke gham
raddi mein kho gai kitaab koi
kaun sa zakham kis ne baksha hai
is ka rakhe kahaan hisaab koi
phir main sunne laga hoon is dil ki
aane waala hai phir azaab koi
shab ki dahleez par shafaq hai lahu
phir hua qatl aftaab koi
प्यास की कैसे लाए ताब कोई
नहीं दरिया तो हो सराब कोई
ज़ख़्म-ए-दिल में जहाँ महकता है
इसी क्यारी में था गुलाब कोई
रात बजती थी दूर शहनाई
रोया पी कर बहुत शराब कोई
दिल को घेरे हैं रोज़गार के ग़म
रद्दी में खो गई किताब कोई
कौन सा ज़ख़्म किस ने बख़्शा है
इस का रक्खे कहाँ हिसाब कोई
फिर मैं सुनने लगा हूँ इस दिल की
आने वाला है फिर अज़ाब कोई
शब की दहलीज़ पर शफ़क़ है लहू
फिर हुआ क़त्ल आफ़्ताब कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Sharaab Shayari Shayari