saari hairat hai meri saari ada us ki hai | सारी हैरत है मिरी सारी अदा उस की है

  - Javed Akhtar

saari hairat hai meri saari ada us ki hai
be-gunaahi hai meri aur saza us ki hai

mere alfaaz mein jo rang hai vo us ka hai
mere ehsaas mein jo hai vo fazaa us ki hai

sher mere hain magar in mein mohabbat us ki
phool mere hain magar baad-e-saba us ki hai

ik mohabbat ki ye tasveer hai do rangon mein
shauq sab mera hai aur saari haya us ki hai

ham ne kya us se mohabbat ki ijaazat li thi
dil-shikan hi sahi par baat baja us ki hai

ek mere hi siva sab ko pukaare hai koi
main ne pehle hi kaha tha ye sada us ki hai

khoon se seenchi hai main ne jo zameen mar mar ke
vo zameen ek sitam-gar ne kaha us ki hai

us ne hi is ko ujaada hai ise lootaa hai
ye zameen us ki agar hai bhi to kya us ki hai

सारी हैरत है मिरी सारी अदा उस की है
बे-गुनाही है मिरी और सज़ा उस की है

मेरे अल्फ़ाज़ में जो रंग है वो उस का है
मेरे एहसास में जो है वो फ़ज़ा उस की है

शेर मेरे हैं मगर इन में मोहब्बत उस की
फूल मेरे हैं मगर बाद-ए-सबा उस की है

इक मोहब्बत की ये तस्वीर है दो रंगों में
शौक़ सब मेरा है और सारी हया उस की है

हम ने क्या उस से मोहब्बत की इजाज़त ली थी
दिल-शिकन ही सही पर बात बजा उस की है

एक मेरे ही सिवा सब को पुकारे है कोई
मैं ने पहले ही कहा था ये सदा उस की है

ख़ून से सींची है मैं ने जो ज़मीं मर मर के
वो ज़मीं एक सितम-गर ने कहा उस की है

उस ने ही इस को उजाड़ा है इसे लूटा है
ये ज़मीं उस की अगर है भी तो क्या उस की है

  - Javed Akhtar

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari