khwaab ke gaav mein pale hain ham
paani chhalni mein le chale hain ham
chaach phoonken ki apne bachpan mein
doodh se kis tarah jale hain ham
khud hain apne safar ki dushwaari
apne pairo'n ke aable hain ham
tu to mat kah hamein bura duniya
tu ne dhaala hai aur dhale hain ham
kyun hain kab tak hain kis ki khaatir hain
bade sanjeeda masale hain ham
ख़्वाब के गाँव में पले हैं हम
पानी छलनी में ले चले हैं हम
छाछ फूँकें कि अपने बचपन में
दूध से किस तरह जले हैं हम
ख़ुद हैं अपने सफ़र की दुश्वारी
अपने पैरों के आबले हैं हम
तू तो मत कह हमें बुरा दुनिया
तू ने ढाला है और ढले हैं हम
क्यूँ हैं कब तक हैं किस की ख़ातिर हैं
बड़े संजीदा मसअले हैं हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Duniya Shayari Shayari