jab aaina koi dekho ik ajnabi dekho
kahaan pe laai hai tum ko ye zindagi dekho
mohabbaton mein kahaan apne vaaste furqat
jise bhi chahe vo chahe meri khushi dekho
jo ho sake to ziyaada hi chaahna mujh ko
kabhi jo meri mohabbat mein kuchh kami dekho
jo door jaaye to gham hai jo paas aaye to dard
na jaane kya hai vo kambakht aadmi dekho
ujaala to nahin kah sakte is ko ham lekin
zara si kam to hui hai ye teergi dekho
जब आईना कोई देखो इक अजनबी देखो
कहाँ पे लाई है तुम को ये ज़िंदगी देखो
मोहब्बतों में कहाँ अपने वास्ते फ़ुर्सत
जिसे भी चाहे वो चाहे मिरी ख़ुशी देखो
जो हो सके तो ज़ियादा ही चाहना मुझ को
कभी जो मेरी मोहब्बत में कुछ कमी देखो
जो दूर जाए तो ग़म है जो पास आए तो दर्द
न जाने क्या है वो कम्बख़्त आदमी देखो
उजाला तो नहीं कह सकते इस को हम लेकिन
ज़रा सी कम तो हुई है ये तीरगी देखो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Gham Shayari Shayari