ham to bachpan mein bhi akela the
sirf dil ki gali mein khele the
ik taraf morche the palkon ke
ik taraf aansuon ke rele the
theen saji hasratein dukano par
zindagi ke ajeeb mele the
khud-kushi kya dukhon ka hal banti
maut ke apne sau jhamele the
zehan o dil aaj bhooke marte hain
un dinon ham ne faaqe jhele the
हम तो बचपन में भी अकेले थे
सिर्फ़ दिल की गली में खेले थे
इक तरफ़ मोर्चे थे पलकों के
इक तरफ़ आँसुओं के रेले थे
थीं सजी हसरतें दुकानों पर
ज़िंदगी के अजीब मेले थे
ख़ुद-कुशी क्या दुखों का हल बनती
मौत के अपने सौ झमेले थे
ज़ेहन ओ दिल आज भूके मरते हैं
उन दिनों हम ने फ़ाक़े झेले थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Gaon Shayari Shayari