mujh ko yaqeen hai sach kahti theen jo bhi ammi kahti theen | मुझ को यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं - Javed Akhtar

mujh ko yaqeen hai sach kahti theen jo bhi ammi kahti theen
jab mere bachpan ke din the chaand mein pariyaan rahti theen

ek ye din jab apnon ne bhi hum se naata tod liya
ek vo din jab ped ki shaakhen bojh hamaara sahti theen

ek ye din jab saari sadken roothi roothi lagti hain
ek vo din jab aao khelen saari galiyaan kahti theen

ek ye din jab jaagi raatein deewaron ko takti hain
ek vo din jab shaamon ki bhi palkein bojhal rahti theen

ek ye din jab zehan mein saari ayyaari ki baatein hain
ek vo din jab dil mein bholi-bhaali baatein rahti theen

ek ye din jab laakhon gham aur kaal pada hai aansu ka
ek vo din jab ek zara si baat pe nadiyaan bahti theen

ek ye ghar jis ghar mein mera saaz-o-samaan rehta hai
ek vo ghar jis ghar mein meri boodhi naani rahti theen

मुझ को यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं
जब मेरे बचपन के दिन थे चाँद में परियाँ रहती थीं

एक ये दिन जब अपनों ने भी हम से नाता तोड़ लिया
एक वो दिन जब पेड़ की शाख़ें बोझ हमारा सहती थीं

एक ये दिन जब सारी सड़कें रूठी रूठी लगती हैं
एक वो दिन जब आओ खेलें सारी गलियाँ कहती थीं

एक ये दिन जब जागी रातें दीवारों को तकती हैं
एक वो दिन जब शामों की भी पलकें बोझल रहती थीं

एक ये दिन जब ज़ेहन में सारी अय्यारी की बातें हैं
एक वो दिन जब दिल में भोली-भाली बातें रहती थीं

एक ये दिन जब लाखों ग़म और काल पड़ा है आँसू का
एक वो दिन जब एक ज़रा सी बात पे नदियाँ बहती थीं

एक ये घर जिस घर में मेरा साज़-ओ-सामाँ रहता है
एक वो घर जिस घर में मेरी बूढ़ी नानी रहती थीं

- Javed Akhtar
7 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari