main pa saka na kabhi is khalish se chhutkaara | मैं पा सका न कभी इस ख़लिश से छुटकारा - Javed Akhtar

main pa saka na kabhi is khalish se chhutkaara
vo mujh se jeet bhi saka tha jaane kyun haara

baras ke khul gaye aansu nithar gai hai fazaa
chamak raha hai sar-e-shaam dard ka taara

kisi ki aankh se tapka tha ik amaanat hai
meri hatheli pe rakha hua ye angaara

jo par samete to ik shaakh bhi nahin paai
khule the par to mera aasmaan tha saara

vo saanp chhod de dassna ye main bhi kehta hoon
magar na chhodenge log us ko gar na funkara

मैं पा सका न कभी इस ख़लिश से छुटकारा
वो मुझ से जीत भी सकता था जाने क्यूँ हारा

बरस के खुल गए आँसू निथर गई है फ़ज़ा
चमक रहा है सर-ए-शाम दर्द का तारा

किसी की आँख से टपका था इक अमानत है
मिरी हथेली पे रक्खा हुआ ये अँगारा

जो पर समेटे तो इक शाख़ भी नहीं पाई
खुले थे पर तो मिरा आसमान था सारा

वो साँप छोड़ दे डसना ये मैं भी कहता हूँ
मगर न छोड़ेंगे लोग उस को गर न फुन्कारा

- Javed Akhtar
6 Likes

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari