vo zamaana guzar gaya kab ka
tha jo deewaana mar gaya kab ka
dhoondhta tha jo ik nayi duniya
laut ke apne ghar gaya kab ka
vo jo laaya tha ham ko dariya tak
paar akela utar gaya kab ka
us ka jo haal hai wahi jaane
apna to zakham bhar gaya kab ka
khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza
ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
वो ज़माना गुज़र गया कब का
था जो दीवाना मर गया कब का
ढूँढता था जो इक नई दुनिया
लौट के अपने घर गया कब का
वो जो लाया था हम को दरिया तक
पार अकेले उतर गया कब का
उस का जो हाल है वही जाने
अपना तो ज़ख़्म भर गया कब का
ख़्वाब-दर-ख़्वाब था जो शीराज़ा
अब कहाँ है बिखर गया कब का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Ghar Shayari Shayari