kis liye kijeye bazm-aaraai
pur-sukoon ho gai hai tanhaai
phir khamoshi ne saaz chheda hai
phir khayaalaat ne li angadaai
yun sukoon-aashna hue lamhe
boond mein jaise aaye gehraai
ik se ik waqia hua lekin
na gai tere gham ki yaktaai
koi shikwa na gham na koi yaad
baithe baithe bas aankh bhar aayi
dhalkee shaanon se har yaqeen ki qaba
zindagi le rahi hai angadaai
किस लिए कीजे बज़्म-आराई
पुर-सुकूँ हो गई है तन्हाई
फिर ख़मोशी ने साज़ छेड़ा है
फिर ख़यालात ने ली अँगड़ाई
यूँ सुकूँ-आश्ना हुए लम्हे
बूँद में जैसे आए गहराई
इक से इक वाक़िआ' हुआ लेकिन
न गई तेरे ग़म की यकताई
कोई शिकवा न ग़म न कोई याद
बैठे बैठे बस आँख भर आई
ढलकी शानों से हर यक़ीं की क़बा
ज़िंदगी ले रही है अँगड़ाई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Gham Shayari Shayari