dil ka har dard kho gaya jaise
main to patthar ka ho gaya jaise
daagh baaki nahin ki naqsh kahoon
koi deewaar dho gaya jaise
jaagta zehan gham ki dhoop mein tha
chaanv paate hi so gaya jaise
dekhne waala tha kal us ka tapaak
phir se vo gair ho gaya jaise
kuchh bichhadne ke bhi tariqe hain
khair jaane do jo gaya jaise
दिल का हर दर्द खो गया जैसे
मैं तो पत्थर का हो गया जैसे
दाग़ बाक़ी नहीं कि नक़्श कहूँ
कोई दीवार धो गया जैसे
जागता ज़ेहन ग़म की धूप में था
छाँव पाते ही सो गया जैसे
देखने वाला था कल उस का तपाक
फिर से वो ग़ैर हो गया जैसे
कुछ बिछड़ने के भी तरीक़े हैं
ख़ैर जाने दो जो गया जैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Garmi Shayari Shayari