misaal is ki kahaan hai koi zamaane mein | मिसाल इस की कहाँ है कोई ज़माने में

  - Javed Akhtar

misaal is ki kahaan hai koi zamaane mein
ki saare khone ke gham paaye ham ne paane mein

vo shakl pighli to har shay mein dhal gai jaise
ajeeb baat hui hai use bhulaane mein

jo muntazir na mila vo to ham hain sharminda
ki ham ne der laga di palat ke aane mein

lateef tha vo takhayyul se khwaab se naazuk
ganwa diya use ham ne hi aazmaane mein

samajh liya tha kabhi ik saraab ko dariya
par ik sukoon tha ham ko fareb khaane mein

jhuka darakht hawa se to aandhiyon ne kaha
ziyaada farq nahin jhukne toot jaane mein

मिसाल इस की कहाँ है कोई ज़माने में
कि सारे खोने के ग़म पाए हम ने पाने में

वो शक्ल पिघली तो हर शय में ढल गई जैसे
अजीब बात हुई है उसे भुलाने में

जो मुंतज़िर न मिला वो तो हम हैं शर्मिंदा
कि हम ने देर लगा दी पलट के आने में

लतीफ़ था वो तख़य्युल से ख़्वाब से नाज़ुक
गँवा दिया उसे हम ने ही आज़माने में

समझ लिया था कभी इक सराब को दरिया
पर इक सुकून था हम को फ़रेब खाने में

झुका दरख़्त हवा से तो आँधियों ने कहा
ज़ियादा फ़र्क़ नहीं झुकने टूट जाने में

  - Javed Akhtar

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari