dil mein mahak rahe hain kisi aarzoo ke phool
palkon pe khilne waale hain shaayad lahu ke phool
ab tak hai koi baat mujhe yaad harf harf
ab tak main chun raha hoon kisi guftugoo ke phool
kaliyaan chatk rahi theen ki awaaz thi koi
ab tak sama'aton mein hain ik khush-guloo ke phool
mere lahu ka rang hai har nok-e-khaar par
sehra mein har taraf hain meri justuju ke phool
deewane kal jo log the phoolon ke ishq mein
ab un ke daamanoń mein bhare hain rafu ke phool
दिल में महक रहे हैं किसी आरज़ू के फूल
पलकों पे खिलने वाले हैं शायद लहू के फूल
अब तक है कोई बात मुझे याद हर्फ़ हर्फ़
अब तक मैं चुन रहा हूँ किसी गुफ़्तुगू के फूल
कलियाँ चटक रही थीं कि आवाज़ थी कोई
अब तक समाअतों में हैं इक ख़ुश-गुलू के फूल
मेरे लहू का रंग है हर नोक-ए-ख़ार पर
सहरा में हर तरफ़ हैं मिरी जुस्तुजू के फूल
दीवाने कल जो लोग थे फूलों के इश्क़ में
अब उन के दामनों में भरे हैं रफ़ू के फूल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Yaad Shayari Shayari