andesha kho jaane ka
ummeed kuchh paane ki
huzn-o-masarrat
hamaare apne ikhtiyaar ke
andesha
deemak hai
jo
masarrat ke darakhton ki jadon ko chaatati rahti hai
tum
be-andesha kyun nahin ho jaate
ki paidaish se maut tak zindagi ke lamhon ko
tum un ke maal-e-mutaayyanaa se hat kar nahin jee sakte
अंदेशा खो जाने का
उम्मीद कुछ पाने की
हुज़्न-ओ-मसर्रत
हमारे अपने इख़्तियार के
अंदेशा
दीमक है
जो
मसर्रत के दरख़्तों की जड़ों को चाटती रहती है
तुम
बे-अंदेशा क्यों नहीं हो जाते
कि पैदाइश से मौत तक ज़िंदगी के लम्हों को
तुम उन के मआल-ए-मुतअय्यना से हट कर नहीं जी सकते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Nadeem
our suggestion based on Javed Nadeem
As you were reading Muskurahat Shayari Shayari